bane-banae se raston ka silsila nikla
naya safar bhi bahut hi gurez-pa nikla
na jaane kis ki hamein umr bhar talash rahi
jise qarib se dekha wo dusra nikla
hamein to ras na aai kisi ki mahfil bhi
koi KHuda koi ham-saya-e-KHuda nikla
hazar tarah ki mai pi hazar tarah ke zahr
na pyas hi bujhi apni na hausla nikla
hamare pas se guzri thi ek parchhain
pukara hum ne to sadiyon ka fasla nikla
ab apne-ap ko DhunDen kahan kahan ja kar
adam se ta-ba-adam apna naqsh-e-pa nikla
Ghazal
Bane-banae se raston ka silsila nikla
Khalilur Rahman Azmi