bane-banae hue raston pe ja nikle
ye ham-safar mere kitne gurez-pa nikle
chale the aur kisi raste ki dhun mein magar
hum ittifaq se teri gali mein aa nikle
gham-e-firaq mein kuchh der ro hi lene do
buKHar kuchh to dil-e-be-qarar ka nikle
nasihaten hamein karte hain tark-e-ulfat ki
ye KHair-KHwah hamare kidhar se aa nikle
ye KHamushi to rag-o-pai mein rach gai 'nasir'
wo nala kar ki dil-e-sang se sada nikle

Ghazal
Bane-banae hue raston pe ja nikle
Nasir Kazmi