banda-e-ishq hun juz yar mujhe kaam nahin
KHwahish-e-nang nahin kuchh hawas-e-nam nahin
mazhab-e-ishq ka ye Dhang nirala dekha
kuchh wahan tazkira-e-kufr aur islam nahin
ishq ko jaanta hun din-o-iman apna
ghair mashuq parasti mujhe kuchh kaam nahin
kaba-e-jaan hai mera kucha-e-jaanan yaro
sajda-e-dair-o-haram se mujhe kuchh kaam nahin
said-e-murgh-e-dil-e-ashiq liye ai dilbar
KHal hai dana aur ye zulf kam az dam nahin
dard-e-dil ne hamein kya kya hai chakhai lazzat
is liye dil ko mere KHwahish-e-aram nahin
mazhab-e-ishq mein aa kar ke hamin ai 'asim'
shah KHadim ke siwa aur se kuchh kaam nahin
Ghazal
Banda-e-ishq hun juz yar mujhe kaam nahin
Shah Aasim