banda agar jahan mein bajae KHuda nahin
lekin nazar karo to KHuda se juda nahin
nuqte ka farq hai ga KHuda aur juda mein dekh
surat mein gar chhupa hai ba-mani chhupa nahin
har shai ke bich aap nihan ho ayan hua
dekha to hum ne us sa koi KHud-numa nahin
hairan aql-e-kul ki hai us ki sifat ko dekh
sab ja mein jalwa-gar hai magar ek ja nahin
lazzat chakha ke dil ke tain hijr o wasl ki
'hatim' se mil raha hai aur ab tak mila nahin
Ghazal
Banda agar jahan mein bajae KHuda nahin
Shaikh Zahuruddin Hatim

