band kamre mein hun aur koi daricha bhi nahin
kisi dastak ka larazta hua jhonka bhi nahin
tirgi oDh ke aai hai ghaTa ki chadar
aur fanus koi aah ka jalta bhi nahin
kal mere sae mein sustai thi sadiyon ki thakan
aaj wo peD hun jis par koi patta bhi nahin
dhup ke dasht ka darpesh safar hai mujh ko
sath dene ko magar koi parinda bhi nahin
apna KHun rah mein phailain lakiron ki tarah
aane wale na kahin naqsh-e-kaf-e-pa bhi nahin

Ghazal
Band kamre mein hun aur koi daricha bhi nahin
Parvez Bazmi