اردو हिंदी
Band hoti kitabon mein uDti hui titliyan Dal din | Shaahi Shayari
band hoti kitabon mein uDti hui titliyan Dal din

Ghazal

Band hoti kitabon mein uDti hui titliyan Dal din

Noshi Gilani

;

band hoti kitabon mein uDti hui titliyan Dal din
kis ki rasmon ki jalti hui aag mein laDkiyan Dal din

KHauf kaisa hai ye nam is ka kahin zer-e-lab bhi nahin
jis ne hathon mein mere hare kanch ki chuDiyan Dal din

honT pyase rahe hausle thak gae umr sahra hui
hum ne pani ke dhoke mein phir ret par kashtiyan Dal din

mausam-e-hijr ki kaisi saat hai ye dil bhi hairan hai
mere kanon mein kis ne teri yaad ki baaliyan Dal din