band hain dil ke dariche raushni madum hai
ab jo apna hashr hona hai hamein malum hai
hasb-e-nairang-e-jahan dil shad ya maghmum hai
aadmi jazbaat ka hakim nahin mahkum hai
ab takalluf bartaraf ye aap ko malum hai
kyun mera KHwab-e-wafa tabir se mahrum hai
husn KHud taDpa kiya hai mujh ko taDpane ke baad
sochna paDta hai wo zalim hai ya mazlum hai
KHwab aaKHir KHwab hai is KHwab ka kya e'tibar
jannat-e-nazzara goya jannat-e-mauhum hai
hae ye tarfa maal-e-arzu-e-subh-e-nau
jis taraf nazren uThata hun faza masmum hai
mere kirdar-e-wafa ki aaina-dari ba-KHair
kyun zaban-e-dost par al-shaz-o-kal-madum hai
dekhne ki chiz hai ye sehr-e-andaz-e-nazar
un ka har mubham ishaara hamil-e-mafhum hai
KHar bhi na-mutmain hain phul bhi na-mutmain
baghban ke is nizam-e-gulistan ki dhum hai
ab use mahaul jis qalib mein chahe Dhaal de
fitratan to aadmi ek paikar-e-mafhum hai
jo bhari mahfil mein nazron ki hui hai guftugu
husn ko malum hai ya ishq ko malum hai
kitni kaif-awar hai in ki shirkat-e-gham bhi 'uruj'
matam-e-dil ki jagah jashn-e-dil-e-marhum hai
Ghazal
Band hain dil ke dariche raushni madum hai
Urooj Zaidi Badayuni