band hai aaj bhi tarsil pe rah-e-alfaz
main ki mazmun hun phir bhi hun tabah-e-alfaz
aaj auraq-nawardi hai muqaddar lekin
kal moarriKH mujhe Tahraega shah-e-alfaz
kash mafhum-gazida koi patthar hi mile
sang-zaron mein bhaTakti hai nigah-e-alfaz
log samjhenge na jaanenge meri baat magar
mere sar aaega phir bhi ye gunah-e-alfaz
hun wo mafhum jo sharminda-e-tahrir nahin
hai panahon mein meri KHud hi panah-e-alfaz
bar-sar-e-jang hun tarsil ke maidan mein 'rais'
qaid-e-ibham mein hai phir bhi sabah-e-alfaz

Ghazal
Band hai aaj bhi tarsil pe rah-e-alfaz
Raeesuddin Raees