اردو हिंदी
Band-e-qaba ko KHuban jis waqt wa karenge | Shaahi Shayari
band-e-qaba ko KHuban jis waqt wa karenge

Ghazal

Band-e-qaba ko KHuban jis waqt wa karenge

Mir Taqi Mir

;

band-e-qaba ko KHuban jis waqt wa karenge
KHamyaza-kash jo honge milne ke kya karenge

rona yahi hai mujh ko teri jafa se har-dam
ye dil-dimagh donon kab tak wafa karenge

hai din sar ka dena gardan pe apni KHuban
jite hain to tumhaara ye qarz ada karenge

darwesh hain hum aaKHir do-ik nigah ki ruKHsat
goshe mein baiThe pyare tum ko dua karenge

aaKHir to roze aae do-chaar roz hum bhi
tarsa bachon mein ja kar daru piya karenge

kuchh to kahega hum ko KHamosh dekh kar wo
is baat ke liye ab chup hi raha karenge

aalam mere hai tujh par aai agar qayamat
teri gali ke har-su mahshar hua karenge

daman-e-dasht sukha abron ki be-tahi se
jangal mein rone ko ab hum bhi chala karenge

lai teri gali tak aawargi hamari
zillat ki apni ab hum izzat kiya karenge

ahwal-e-'mir' kyunkar aaKHir ho ek shab mein
ek umr hum ye qissa tum se kaha karenge