band bahar se meri zat ka dar hai mujh mein
main nahin KHud mein ye ek aam KHabar hai mujh mein
ek ajab aamad-o-shud hai ki na mazi hai na haal
'jaun' barpa kai naslon ka safar hai mujh mein
hai meri umr jo hairan tamashai hai
aur ek lamha hai jo zer-o-zabar hai mujh mein
kya tarasta hun ki bahar ke kisi kaam aae
wo ek amboh ki bas KHak-basar hai mujh mein
Dubne walon ke dariya mujhe payab mile
us mein ab Dub raha hun jo bhanwar hai mujh mein
dar-o-diwar to bahar ke hain Dhane wale
chahe rahta nahin main par mera ghar hai mujh mein
main jo paikar mein andar ki hun be-tegh-o-zirah
aaKHirash kaun hai jo sina-sipar hai mujh mein
marka garm hai be-taur sa koi har-dam
na koi tegh salamat na sipar hai mujh mein
zaKHm-ha-zaKHm hun aur koi nahin KHun ka nishan
kaun hai wo jo mere KHun mein tar hai mujh mein
Ghazal
Band bahar se meri zat ka dar hai mujh mein
Jaun Eliya