band aankhon mein sara tamasha dekh raha tha
rasta rasta mera rasta dekh raha tha
kali raat aur kale tare kala chanda
dharti ka na-bina laDka dekh raha tha
TuTi-phuTi qabren dhundle dhundle katbe
har katbe mein apna chehra dekh raha tha
miTTi dene wale hathon ko ye KHabar kya
kis hasrat se zarra zarra dekh raha tha
rag rag fart-e-dahshat se sukhi jati thi
parchhain se KHun ubalta dekh raha tha
sukhe patton par jalti shabnam ke qatre
ThanDa suraj sahma sahma dekh raha tha
chupke se haijaan uTha kar pyasa qatra
tughyani par aai nadiya dekh raha tha
ehsasat ki TuTti sarhad par main 'KHusraw'
KHwab se aage bhi jo kuchh tha dekh raha tha
Ghazal
Band aankhon mein sara tamasha dekh raha tha
Iqbal Khusro Qadri