banaya ek kafir ke tain us dam main do kafir
mere munh se jo nikla na-gahan o kafir o kafir
musalman dekh kar us but ki surat ko ye kahta hai
musalmani kahan ki? bandh le zunnar, ho kafir
tujhe parwa nahin hargiz kisi ki tu hai be-parwa
tere is husn-e-kafir par pari ho jae go kafir
shab-e-hijran mein jo dil dam-ba-dam fariyaad karta hai
KHafa ho kar kahun main koi saat tu to so kafir
kahan tak ai dil-e-shorida tu aansu bahawega
shab aai subh hone par bas itna bhi na ro kafir
hum apna din-o-iman pahle us ko nazr karte hain
hamare samne is shakl se aata hai jo kafir
teri baaton se to ai 'mushafi' ji apna tang aaya
KHuda ke waste chup rah na meri jaan kho kafir
Ghazal
Banaya ek kafir ke tain us dam main do kafir
Mushafi Ghulam Hamdani