banai hai teri taswir main ne Darte hue
laraz raha tha mera hath rang bharte hue
main inhimak mein ye kis maqam tak pahuncha
tujhe hi bhul gaya tujh ko yaad karte hue
nizam-e-kun ke sabab intishaar hai marbut
ye kaenat simaTti bhi hai bikharte hue
kahin kahin to zamin aasman se unchi hai
ye raaz mujh pe khula siDhiyan utarte hue
hamein ye waqt Daraata kuchh is tarah bhi hai
Thahar na jae kahin hadsa guzarte hue
kuchh e'tibar nahin agli nasl par in ko
wasiyaten nahin karte ye log marte hue
har ek zarb to hoti nahin ayan 'asim'
hazar naqsh hue mundamil ubharte hue
Ghazal
Banai hai teri taswir maine Darte hue
Asim Wasti