اردو हिंदी
Bana raha tha koi aab o KHak se kuchh aur | Shaahi Shayari
bana raha tha koi aab o KHak se kuchh aur

Ghazal

Bana raha tha koi aab o KHak se kuchh aur

Dilawar Ali Aazar

;

bana raha tha koi aab o KHak se kuchh aur
uTha liya phir achanak hi chaak se kuchh aur

jala ke baiTh gaya main wo aaKHiri taswir
to naqsh ubharne lage us ki rakh se kuchh aur

bas apne aap se kuchh der ham-kalam raho
nahin hai faeda hijr o firaq se kuchh aur

hamari fal hamare hi hath se nikli
bana hai zaicha par ittifaq se kuchh aur

wahi sitara-numa ek charagh hai 'azar'
mera KHayal tha niklega taq se kuchh aur