bana ke talKH haqaeq se par nikalti hai
chaTan mein bhi agar ho KHabar nikalti hai
meri taraf se ijazat hai dekh lo KHud hi
kahin judai ki surat agar nikalti hai
wo tirgi hai ki KHud rah DhunDne ke liye
charagh hath mein le kar sahar nikalti hai
ghurur itna bhi kya apni shan shaukat par
ye KHush-gumani to kaTwa ke sar nikalti hai
mere KHayal mein tasKHir-e-shash-jihat ke liye
teri gali se kahin rahguzar nikalti hai
na raat sunti hai 'rahat' fughan-e-said yahan
na dhup dekh ke zarf-e-shajar nikalti hai
Ghazal
Bana ke talKH haqaeq se par nikalti hai
Rahat Sarhadi