bana ke ek nai manzil guzar gae hote
jidhar koi nahin jata udhar gae hote
pae sukun na agar hum Thahar gae hote
to aaj ta-had-e-shams-o-qamar gae hote
gham-e-hayat se hum bhi jo Dar gae hote
to qaid-e-zist mein rah ke bhi mar gae hote
jo mai-kade mein zara tum Thahar gae hote
nazar ke zor se paimane bhar gae hote
na lafz gul ko samajhte na KHar ke mani
bacha bacha ke jo daman guzar gae hote
main bewafa hun to wo kyun nazar chura ke gae
zara mila ke nazar se nazar gae hote
nasim-e-subh ke jhonke meri taraf kyun aae
jahan bahaar hai gul hain udhar gae hote
batata kaun nasheb-o-faraaz-e-rah-e-hayat
jo sab ki tarah se hum bhi guzar gae hote
bahana chahiye gulshan mein Darne walon ko
na KHar hote to phulon se Dar gae hote
main aur kuchh nahin kahta magar chaman walo
bahaar aati to gulshan sanwar gae hote
jo ittihad ki manzil pe hote hum 'shaarib'
taghayyuraat ke chehre utar gae hote
Ghazal
Bana ke ek nai manzil guzar gae hote
Sharib Lakhnavi