bana ke aaina-e-tasawwur jahan dil-e-dagh-dar dekha
firaq mein lutf-e-wasl paya KHizan mein rang-e-bahaar dekha
tamam kaamon ka raste par hamesha dar-o-madar dekha
fasad tinat mein jin ki paya har ek sohbat mein KHar dekha
sambhaala jis din se hosh hum ne watan ko kul chand bar dekha
na ki azizon ki gham-gusari na phir ke apna dayar dekha
hue jo manus kaj-rawi se phire rah-e-sidq-o-rasti se
na baiThe ek roz wo KHushi se na kuchh ba-juz intishaar dekha
bisat-e-aish-o-tarab hai barham ye hai nasheb-o-faraaz-e-alam
piyaada hain un ko dekhte hum jinhen hamesha sawar dekha
paDi hai pichhe kuchh aisi shamat miTa rahe hain nishan-e-sarwat
bahut azizon ko bahr-e-shohrat ganwate apna waqar dekha
jama tha jis waqt rang-e-sohbat tha nek-o-bad mein bhi lutf-e-KHullat
magar KHizan aai ya qayamat na phul dekha na KHar dekha
dil-o-jigar ko hua gawara kahan surur-e-sharab-e-hasti
mila kabhi iztirar mein ye kabhi use be-qarar dekha
gaya wo daur-e-siyah-masti raha faqat nam-e-mai-parasti
jo zoaf-e-piri mein aankh kholi to kuchh tabiat pe bar dekha
'habib' hum ham-safir-e-bulbul hamesha the gulshan-e-jahan mein
wafa ki KHu bu ho jis mein wo gul nazar na aaya hazar dekha
Ghazal
Bana ke aaina-e-tasawwur jahan dil-e-dagh-dar dekha
Habeeb Musvi