bana kar KHud ko jis ne ek bhala insan rakkha hai
sukun-e-qalb ka apne liye saman rakkha hai
sukun ke sath jina to bahut dushwar hai lekin
zamana ne pahunchna marg tak aasan rakkha hai
na kyun mohtat rakhkhun KHud ko waqt-e-guftugu tum se
tumhaare dil ko main ne aabgina jaan rakkha hai
pari kyun nind ki utre meri palkon ke aangan mein
ki main ne pal kar dil mein ajab bohran rakkha hai
dar-o-diwar par hain ghonsle kitne parindon ke
kahun kaise ki qudarat ne ye ghar viran rakkha hai
ata kar samna karne ki jurat ai KHuda dil mein
meri kashti ki qismat mein agar tufan rakkha hai
mere upar 'wali' sab se baDa ehsan hai us ka
ki jis ne shaKH-e-dil par phul sa iman rakha hai
Ghazal
Bana kar KHud ko jis ne ek bhala insan rakkha hai
Vali Madni