bana hun main aaj tera mehman koi adu ko KHabar na kar de
uTha ke wo teri anjuman se kahin mujhe dar-ba-dar na kar de
ye wasl ki raat hai KHudara naqab chehre se mat haTao
tumhaare chehre ka ye ujala sahar se pahle sahar na kar de
qasam jise zabt-e-gham ki de kar uTha diya apne dar se tu ne
kahin wo diwana umr apni baghair tere basar na kar de
baDe maze se main pi raha hun meri taraf tum abhi na dekho
mujhe ye Dar hai nazar tumhaari sharab ko be-asar na kar de
sataya jis ko hamesha tu ne sada akela jo chhup ke roya
wo dil-jala apne aansuon se tumhaara daman bhi tar na kar de
'qatil' ye wasl ke zamane hasin bhi hain tawil bhi hain
magar laga hai ye dil ko dhaDka inhen koi muKHtasar na kar de
Ghazal
Bana hun main aaj tera mehman koi adu ko KHabar na kar de
Qateel Shifai