bana husn-e-takallum husn-e-zan aahista aahista
bahar-surat khula ek kam-suKHan aahista aahista
musafir rah mein hai sham gahri hoti jati hai
sulagta hai teri yaadon ka ban aahista aahista
dhuan dil se uThe chehre tak aae nur ho jae
baDi mushkil se aata hai ye fan aahista aahista
abhi to sang-e-tiflan ka hadaf banna hai kuchon mein
ki ras aata hai ye diwana-pan aahista aahista
abhi to imtihan-e-abla-pa hai bayaban mein
banenge kunj-e-gul dasht-o-daman aahista aahista
abhi kyunkar kahun zer-e-naqab-e-surmagin kya hai
badalta hai zamane ka chalan aahista aahista
mein ahl-e-anjuman ki KHalwat-e-dil ka mughanni hun
mujhe pahchan legi anjuman aahista aahista
dil-e-har-sang goya sham-e-mehrab-e-tamanna hai
asar karti hai zarb-e-kohkan aahista aahista
kisi kafir ki shoKHi ne kahlawai ghazal mujh se
khulega 'shaz' ab rang-e-suKHan aahista aahista
Ghazal
Bana husn-e-takallum husn-e-zan aahista aahista
Shaz Tamkanat