bina-e-ishq hai bas ustuwar karne tak
falak ko chain kahan phir ghubar karne tak
ye kab kaha ki bharosa nahin hai wade par
main ji sakunga tera intizar karne tak
KHabar na thi wo mujhe qatl karne aaya hai
main us ko dost samajhta tha war karne tak
phir is ke baad kahan imtiyaz-e-daman-o-dil
junun hai shauq faqat iKHtiyar karne tak
wo KHu-e-ishq basi hai hamari fitrat mein
ki sath dete hain hum jaan nisar karne tak
kuchh is se pahle hi aa jae meri zist ki sham
hayat waqf ho jab din shumar karne tak
mere qabile ka 'mohsin' ye qaul-e-faisal hai
ki zulm zulm hai sabr iKHtiyar karne tak
Ghazal
Bana-e-ishq hai bas ustuwar karne tak
Mohsin Bhopali