bana dengi duniya ko ek din sharabi
ye bad-mast aanhken ye Dore gulabi
hain qasr-e-mohabbat ke meamar donon
nigahon ka dhoka dilon ki KHarabi
ye kufr-e-mujassam ye zuhd-e-sarapa
ye gunjaan gesu ye ru-e-kitabi
har ek shai mein tum muskuraate ho goya
hazaron hijabon mein ye be-hijabi
abhi tak nigahon pe chhai hui hai
wo masti mein Dubi hui nim-KHwabi
abas ishq ko intizar-e-asar hai
asar tak kahan aah ki baryabi
ba-juz us ke 'ehsan' ko kya samajhiye
bahaaron mein khoya hua ek sharabi
Ghazal
Bana dengi duniya ko ek din sharabi
Ehsan Danish