اردو हिंदी
Ban mein viran thi nazar shahr mein dil rota hai | Shaahi Shayari
ban mein viran thi nazar shahr mein dil rota hai

Ghazal

Ban mein viran thi nazar shahr mein dil rota hai

Ghulam Mohammad Qasir

;

ban mein viran thi nazar shahr mein dil rota hai
zindagi se ye mera dusra samjhauta hai

lahlahate hue KHwabon se meri aankhon tak
ratjage kasht na kar le to wo kab sota hai

jis ko is fasl mein hona hai barabar ka sharik
mere ehsas mein tanhaiyan kyun bota hai

nam likh likh ke tera phul banane wala
aaj phir shabnamin aankhon se waraq dhota hai

tere baKHshe hue ek gham ka karishma hai ki ab
jo bhi gham ho mere meyar se kam hota hai

so gae shahr-e-mohabbat ke sabhi dagh o charagh
ek saya pas-e-diwar abhi rota hai

ye bhi ek rang hai shayad meri mahrumi ka
koi hans de to mohabbat ka guman hota hai