ban ke sahil ki nigahon mein tamasha hum log
naqsh-e-pa DhunD rahe hain sar-e-dariya hum log
sae chhuTe to pighalne lage phir dhup mein jism
kash hote na kabhi KHud se shanasa hum log
hum ko nafrat hai andheron se magar kya kije
ki ujalon se bhi rakhte nahin rishta hum log
kuchh nazar aata nahin jin mein dhundlakon ke siwa
karte rahte hain unhin KHwabon ke dar wa hum log
zehn par bar hai aankhon ka muqaddar hai thakan
KHwab agar dekhte bhi hain to adhura hum log
apni hi aankhon se girte hue dekha jis ko
DhunDhte kyun usi diwar ka saya hum log
Ghazal
Ban ke sahil ki nigahon mein tamasha hum log
Aleem Afsar