ban kar lahu yaqin na aae to dekh len
Tapki hain pa-e-KHwab se sahra ki wusaten
puchhe kabhi jo aabla pai ki dastan
dariya se kah bhi dete pa sahra se kya kahen
chalna hai sath sath rah-e-zist mein to aao
na-ashnaiyon ki qabaen utar den
jis ko chhupa ke dil mein samundar ne rakh liya
baadal ke munh se aao wahi dastan sunen
panw mein kitne taron ke kanTe chubho liye
is ek aarzu mein ki suraj se ja milen
chehron pe chun ke phaile the qaus-e-quzah ke rang
aao KHarid laen kahin se wo saaten
baadal ne aa ke rok diya warna ek din
ek aag pine wali thi jangal ki uljhanen
Ghazal
Ban kar lahu yaqin na aae to dekh len
Aleem Afsar