اردو हिंदी
Ban gaya hai jism guzre qafilon ki gard sa | Shaahi Shayari
ban gaya hai jism guzre qafilon ki gard sa

Ghazal

Ban gaya hai jism guzre qafilon ki gard sa

Iftikhar Naseem

;

ban gaya hai jism guzre qafilon ki gard sa
kitna viran kar gaya mujh ko mera hamdard sa

kya abhi tak us ka rasta rokti hai koi soch
mere hathon mein hai us ka hath lekin sard sa

is tarah ghul-mil gaya aa kar nae mahaul mein
wo bhi ab lagta hai mere ghar ka hi ek fard sa

jazb tha jaise koi suraj hi us ke jism mein
dur se wo sang lagta tha ba-zahir sard sa

aaj tak aankhon mein hai manzar bichhaDne ka 'nasim'
pairahan mela sa us ka aur chehra zard sa