ban gai hai maut kitni KHush-ada mere liye
sar jhuka kar phul karte hain dua mere liye
tum na murjhao to kaliyo kal bata dena use
kuchh samajh kar khoi khoi hai saba mere liye
main to bas un ke hi rang-o-nur ka akkas tha
muztarib hai kyun sitaron ki ziya mere liye
meri hi KHatir tha ahd-e-tark-e-araish magar
phir wo aae hain kanar-e-aina mere liye
jagmaga uThti hai dil mein ek muqaddas raushni
jab nahin hota kahin bhi aasra mere liye
sochta hun phir uTha lun barbat-e-kohna 'salam'
muntazir hai sher-o-naghma ka KHuda mere liye
Ghazal
Ban gai hai maut kitni KHush-ada mere liye
Salam Machhli shahri