balwaiyon ka jis pe yahan kuchh asar na tha
wo ghar amir-e-shahr ka tha mera ghar na tha
tahzib-o-ilm-o-fan ki taraqqi ki rah mein
mere alawa aur koi rahbar na tha
main bhi kahin kahin raha ranaiyon se dur
tu bhi kahin kahin pe sharik-e-safar na tha
taza KHabar mein hum ne paDha hai ye dosto
barish thi pattharon ki magar zaKHm-e-sar na tha
samjha tha rahnumai karega meri magar
suraj bhi tirgi mein sharik-e-safar na tha
'nusrat' na jaane kyun use aaya na kuchh KHayal
haalanki mere haal se wo be-KHabar na tha

Ghazal
Balwaiyon ka jis pe yahan kuchh asar na tha
Nusrat Siddiqui