اردو हिंदी
Balaen aankhon se unki mudam lete hain | Shaahi Shayari
balaen aankhon se unki mudam lete hain

Ghazal

Balaen aankhon se unki mudam lete hain

Sheikh Ibrahim Zauq

;

balaen aankhon se un ki mudam lete hain
hum apne hathon ka mizhgan se kaam lete hain

hum un ki zulf se sauda jo wam lete hain
to asl o sud wo sab dam dam lete hain

shab-e-visal ke roz-e-firaq mein kya kya
nasib mujh se mere intiqam lete hain

qamar hi dagh-e-ghulami faqat nahin rakhta
wo mol aise hazaron ghulam lete hain

hum un ke zor ke qail hain hain wahi shah-zor
jo ishq mein dil-e-muztar ko tham lete hain

qatil-e-naz batate nahin tujhe qatil
jab un se puchho ajal hi ka nam lete hain

tere asir jo sayyaad karte hain fariyaad
to phir wo dam hi nahin zer-e-dam lete hain

jhukae hai sar-e-taslim mah-e-nau par wo
ghurur-e-husn se kis ka salam lete hain

tere KHiram ke pairu hain jitne fitne hain
qadam sab aan ke waqt-e-KHiram lete hain

hamare hath se ai 'zauq' waqt-e-mai-noshi
hazar naz se wo ek jam lete hain