bala se koi kahe din ko raat chup rahna
tum apne honTon pe rakh lena hat chup rahna
kahin pe kuchh bhi nazar aae puchhna mat kuchh
kabhi nikalna agar mere sath chup rahna
KHuda ne baKHsha hai kya zarf mom-batti ko
pighalte rahna magar sari raat chup rahna
tumhaare sar pe bagule bhi aa ke chiKHenge
magar bhulana nahin meri baat chup rahna
tumhaari chiKH tumhein be-panah kar degi
shikari kab se lagae hai ghat chup rahna
zaban talu mein paiwast kar ke rakhna 'talab'
koi mazaq hai kya ta-hayat chup rahna
Ghazal
Bala se koi kahe din ko raat chup rahna
Khurshid Talab