bala se KHalq ho be-dard ishq kya gham hai
jarahat-e-dil-e-mahzun ka dard marham hai
jahan mein gham se kui ishrat-kada nahin KHali
hai shama bazm mein giryan chaman mein shabnam hai
hun aab-dida main nargis pe dekh kar shabnam
ki aah chashm ki surat bhi ashk se nam hai
rakhe hai lutf shabistan-e-bazm-e-munim lek
swad-e-sham-e-ghariban ka aur aalam hai
gulon ka chaak gareban hain bulbulen nalan
chaman mein 'ishq' KHuda jaane kis ka matam hai
Ghazal
Bala se KHalq ho be-dard ishq kya gham hai
Ishq Aurangabadi