اردو हिंदी
Bala ki pyas thi hadd-e-nazar mein pani tha | Shaahi Shayari
bala ki pyas thi hadd-e-nazar mein pani tha

Ghazal

Bala ki pyas thi hadd-e-nazar mein pani tha

Khalid Karrar

;

bala ki pyas thi hadd-e-nazar mein pani tha
ki aaj KHwab mein sahra tha ghar mein pani tha

phir is ke baad meri raat be-misal hui
udhar wo shoala-badan tha idhar mein pani tha

na jaane KHak ke mizhgan pe aabshaar tha kya
mera qusur tha mere sharar mein pani tha

tamam umr ye uqda na wa hua mujh par
ki hath mein tha ya chashm-e-KHizar mein pani tha

ajib dasht-e-tamanna se tha guzar 'KHalid'
badan mein reg-e-rawan thi safar mein pani tha