bala ki dhup thi sari faza dahakti rahi
magar wafa ki kali shaKH par chaTakti rahi
bichhaDte waqt mein us ko dilasa deta raha
wo be-zaban thi mujhe bebasi se takti rahi
use KHabar thi ki hum ahl-e-dasht pyase hain
jabhi to mauj kinaron se sar paTakti rahi
alam-nasib to ro ro ke so gae aaKHir
magar malul hua raat bhar sisakti rahi
dam-e-judai wo maryam salib ki manind
mere gale se baDi der tak laTakti rahi
main aisi rah pe nikla ki meri KHush-baKHti
tamam umr meri khoj mein bhaTakti rahi
Ghazal
Bala ki dhup thi sari faza dahakti rahi
Maqbool Aamir