bala ki dhup thi main jal raha tha
badan us ka tha aur saya mera tha
KHarabe mein tha ek aisa KHaraba
jahan main sab se chhup ke baiThta tha
bahut nazdik the taswir mein hum
magar wo fasla jo dikh raha tha
jahazi qafila Duba tha pahle
samundar baad mein upar uTha tha
zamin-o-asman sakit paDe the
mere kamre ka pankha chal raha tha
use bhi ishq ki aadat nahin thi
mera bhi pahla pahla tajraba tha
mujhe jab tak talasha raushni ne
main pura tirgi ka ho chuka tha
Ghazal
Bala ki dhup thi main jal raha tha
Ain Irfan