اردو हिंदी
Bala ki dhup mein aise bhi jism jalta raha | Shaahi Shayari
bala ki dhup mein aise bhi jism jalta raha

Ghazal

Bala ki dhup mein aise bhi jism jalta raha

Nabeel Ahmad Nabeel

;

bala ki dhup mein aise bhi jism jalta raha
badan ka saya jo apne siron se Dhalta raha

Dhali na sham-e-alam jab talak sahar na hui
bujhe charagh ki lau se dhuan nikalta raha

mili na manzil-e-maqsud is liye bhi mujhe
main har qadam pe naya rasta badalta raha

jahan bhi aankh churai safar mein suraj ne
koi sitara mere sath sath chalta raha

bas ek umr ganwa kar qubuliyat ki 'nabil'
tamam umr main hathon ko apne malta raha