baKHt jage to jahan-dida si ho jati hai
shaKHsiyat aur bhi sanjida si ho jati hai
go hama-waqt nai lagti hai duniya lekin
shai purani ho to bosida si ho jati hai
kaun hai wo ki jise mund lun aankhen dekhun
aankh khul jae to poshida si ho jati hai
khel hi khel mein laDki wo shararat wali
baat hi baat mein sanjida si ho jati hai
main wo aazar na tarashun koi murat lekin
jis ko chhu lun wo tarashida si ho jati hai
yaad aate hain mujhe 'mir' ke ashaar 'zafar'
jab tabiat meri ranjida si ho jati hai
Ghazal
BaKHt jage to jahan-dida si ho jati hai
Zafar Kaleem