baKHshe phir us nigah ne arman nae nae
mahsus ho rahe hain dil o jaan nae nae
yun qaid-e-zindagi ne rakha muztarib hamein
jaise hue hon daKHil-e-zindan nae nae
kis kis se is amanat-e-din ko bachaiye
milte hain roz dushman-e-iman nae nae
rahat ki justuju mein KHushi ki talash mein
gham palti hai umr-e-gurezan nae nae
masjid mein aur zikr buton ka janab-e-shaiKH
shayad hue hain aap musalman nae nae
dam bhar dam-e-ajal ko na hasil hua faragh
hote rahe charagh farozan nae nae
KHana-KHarab hum se jahan mein kahan 'adib'
aabaad kar rahe hain bayaban nae nae
Ghazal
BaKHshe phir us nigah ne arman nae nae
Adeeb Saharanpuri