baKHshe na gae ek ko baKHsha na kabhi
raste pe magar aai ye duniya na kabhi
lachaar KHud apna hi qasida likkha
qabil koi mizan pe utra na kabhi
gardan bhi reaya ki jhukae rakkhi
uThne diya ehsan ka palDa na kabhi
bharte hi rahe sud mein ek ek dhaDkan
mansuKH kiya dard ka sauda na kabhi
ab kis ko pata baam pe chehra tha ki chand
koi sar uThae hue guzra na kabhi
banu-e-saba KHak-nashin par bhi nigah
nachiz pe karna paDe takiya na kabhi
parchhaiyon ki jang thi KHun ka dariya
ham-zad rajaz-KHwan hua aisa na kabhi
phenk aao KHalaon mein shikasta kashkol
is burj mein Thahrega sitara na kabhi
jab saya bhi shishe ki tarah TuT gaya
diwar ne dekha ye tamasha na kabhi
Ghazal
BaKHshe na gae ek ko baKHsha na kabhi
Iqbal Khusro Qadri