اردو हिंदी
BaKHsh di haal-e-zabun ne jalwa-samani mujhe | Shaahi Shayari
baKHsh di haal-e-zabun ne jalwa-samani mujhe

Ghazal

BaKHsh di haal-e-zabun ne jalwa-samani mujhe

Ehsan Danish

;

baKHsh di haal-e-zabun ne jalwa-samani mujhe
kash mil jae zamane ki pareshani mujhe

ai nigah-e-dost ai sarmaya-dar-e-be-KHudi
hosh aata hai to hoti hai pareshani mujhe

khul chuka han khul chuka dil par tera rangin fareb
de na dhoka ai tilism-e-hasti-e-fani mujhe

phir na sabit ho kahin nang-e-bayaban jism-e-raaz
soch kar karna junun mail ye uryani mujhe

muntaha-e-zauq-e-sajda ye ki ek fareb
kufr tak le aai takmil-e-musalmani mujhe

manzilon 'ehsan' pichhe rah gae dair o haram
le chala jaane kahan sailab-e-hairani mujhe