bajte hue ghunghru the uDti hui tanen thin
pahle inhi galiyon mein naghmon ki dukanen thin
yun baiTh rahin dil mein shorida tamannaen
goya kisi jangal mein patton ki uDanen thin
yarab mere hathon mein tesha bhi diya hota
har manzil-e-hasti mein jab itni chaTanen thin
wo lamha-e-larzan bhi dekha hai sar-e-mahfil
ek shoale ki muTThi mein parwanon ki jaanen thin
hum marhala-e-gham mein tanha the kahan yaro
qatil the saliben thin teghen thi sinanen thin
ek harf-e-mohabbat yun phaila ki gunah Thahra
afsane hamare the duniya ki zabanen thin
Ghazal
Bajte hue ghunghru the uDti hui tanen thin
Qaisar-ul-Jafri