bajae ham-safri itna rabta hai bahut
ki mere haq mein teri be-zarar dua hai bahut
thi panw mein koi zanjir bach gae warna
ram-e-hawa ka tamasha yahan raha hai bahut
ye moD kaT ke manzil ka aks dekhoge
isi jagah magar imkan-e-hadsa hai bahut
bas ek chiKH hi yun to hamein ada kar de
muamla hunar-e-harf ka juda hai bahut
meri KHushi ka wo kya kya KHayal rakhta hai
ki jaise meri tabiat se aashna hai bahut
tamam umr jinhen hum ne TuT kar chaha
hamare hathon unhin par sitam hua hai bahut
zara chhua tha ki bas peD aa gira mujh par
kahan KHabar thi ki andar se khokhla hai bahut
koi khaDa hai meri tarah bhiD mein tanha
nazar bacha ke meri samt dekhta hai bahut
ye ehtiyat-kada hai kaDe usulon ka
zara se naqs pe 'bani' yahan saza hai bahut
Ghazal
Bajae ham-safri itna rabta hai bahut
Rajinder Manchanda Bani