اردو हिंदी
Bajae gul mujhe tohfa diya babulon ka | Shaahi Shayari
bajae gul mujhe tohfa diya babulon ka

Ghazal

Bajae gul mujhe tohfa diya babulon ka

Kabir Ajmal

;

bajae gul mujhe tohfa diya babulon ka
main munharif to nahin tha tere usulon ka

izala kaise karega wo apni bhulon ka
ki jis ke KHun mein nashsha nahin usulon ka

nafas ka qarz chukana bhi koi khel nahin
wo jaan jaega anjam apni bhulon ka

nai talash ke ye mir-e-karwan honge
banate jao yun hi silsila bagulon ka

ye aaDi tirchhi lakiren badal nahin saktin
hazar wasta dete raho usulon ka

tamam falsafa-e-kaenat khul jate
kahan se TuT gaya silsila nuzulon ka

inhin se mujh ko mila azm-e-zindagi 'ajmal'
main jaanta hun ki kya hai maqam phulon ka