baja ye raunaq-e-mahfil magar kahan hain wo log
yahan jo ahl-e-mohabbat ke ja-nashin honge
kahan se aaj meri ruh mein chamak uTThe
wo tere dukh jo tujhe yaad bhi nahin honge
zamana garm-e-safar hai kahin to paega
wo dil jo mehr-o-mohabbat ki sarzamin honge
main kar raha hun teri chashm-e-nam se andaza
ki aane wale zamane bahut hasin honge
'salim' ghar se nikal kar na jao sahra mein
hawa ke rag bahut dard-afrin honge

Ghazal
Baja ye raunaq-e-mahfil magar kahan hain wo log
Saleem Ahmed