baja ki naqsh-e-kaf-e-pa pe sar bhi rakhna hai
magar buland maqam-e-nazar bhi rakhna hai
saKHawat aisi dikhai ki ghar luTa baiThe
na socha ye bhi ki kuchh apne ghar bhi rakhna hai
hon zaKHm zaKHm kahan tak main chaaragar se kahun
idhar bhi rakhna hai marham udhar bhi rakhna hai
ye jabr dekho ki rahna bhi hai sar-e-maqtal
har ek war bhi sahna hai sar bhi rakhna hai
rah-e-hayat mein thakna bhi hai yaqini sa
phir apne aap ko waqf-e-safar bhi rakhna hai
ilahi KHair ki tufan-e-baad-o-baran mein
hamein bachana hai KHud ko bhi ghar mein rakhna hai
ye kya sitam hai ki sayyaad hum asiron ko
riha bhi karna hai be-baal-o-par bhi rakhna hai
kise bataen ki gham us ki be-niyazi ka
wo gham hai jis se use be-KHabar bhi rakhna hai
musafiro abhi manzil ke hain paDaw bahut
isi hisab se zad-e-safar bhi rakhna hai
ye uzr hai ki unhen nind aane lagti hai
bayan-e-qissa-e-gham muKHtasar bhi rakhna hai
'waqar' tum suKHn-o-agahi se guzre ho
tumhi ko pas-e-'waqar'-e-hunar bhi rakhna hai
Ghazal
Baja ki naqsh-e-kaf-e-pa pe sar bhi rakhna hai
Waqar Manvi