اردو हिंदी
Baja ki darpai-e-azar chashm-e-tar hai bahut | Shaahi Shayari
baja ki darpai-e-azar chashm-e-tar hai bahut

Ghazal

Baja ki darpai-e-azar chashm-e-tar hai bahut

Tauseef Tabassum

;

baja ki darpai-e-azar chashm-e-tar hai bahut
palaT ke aaunga main garche ye safar hai bahut

Thahar sako to Thahar jao mere pahlu mein
wo dhup hai ki yahi saya-e-shajar hai bahut

darida bahen KHizan mein pukarti hain chalo
hawa-e-tund mein har shaKH be-sipar hai bahut

kahun to wo meri rudad-e-dard bhi na sune
ki jaise us ko mere haal ki KHabar hai bahut

kali KHumar ke aalam mein kasmasati hai
khuli hai aankh magar nind ka asar hai bahut

mera qadam hi nahin hijr mein bagula-sifat
bichhaD ke mujh se tera gham bhi dar-ba-dar hai bahut

hain muntazir ki ye dariya-e-dard kab utre
hain KHush ki dil ka safina to mauj par hai bahut

na KHalwat-e-gham-e-duniya na bazm-e-jaan 'tausif'
tumhaare waste ek bekasi ka ghar hai bahut