اردو हिंदी
Baja irshad farmaya gaya hai | Shaahi Shayari
baja irshad farmaya gaya hai

Ghazal

Baja irshad farmaya gaya hai

Jaun Eliya

;

baja irshad farmaya gaya hai
ki mujh ko yaad farmaya gaya hai

inayat ki hain na-mumkin umiden
karam ijad farmaya gaya hai

hain ab hum aur zad hai hadson ki
hamein aazad farmaya gaya hai

zara us ki pur-ahwali to dekhen
jise barbaad farmaya gaya hai

nasim-e-sabzgi the hum so hum ko
ghubar-uftad farmaya gaya hai

mubarak fal-e-nek ai KHusraw-e-shahr
mujhe farhad farmaya gaya hai

sanad baKHshi hai ishq-e-be-gharaz ki
bahut hi shad farmaya gaya hai

saliqe ko lab-e-fariyaad tere
ada ki dad farmaya gaya hai

kahan hum aur kahan husn-e-sar-e-baam
hamein buniyaad farmaya gaya hai