baiTho ji ka bojh utaren donon waqt yahin milte hain
dur dur se aane wale raste kahin kahin milte hain
wahm bhi ho jata hai dil ko lekin is mein tajjub kya hai
aise dasht ki jin mein shamen aap hi aap jalin, milte hain
gahre surKH gulab ka andha bulbul sanp ko kya dekhega
pas hi ugti nag-phani thi sare phul wahin milte hain
kan mein moti hath mein kangan phul chameli ka juDe mein
kya kya rang jamane wale aankhen jin se basin, milte hain
tere jism ki dhaar kaTar si aankh ke pardon mein taDpi thi
KHakistar aankhon mein kya kya un lamhon ke nagin milte hain
tum ko jhuTa Thahra sakta kis mein itna jas hai lekin
aise log bahut hote hain wada kar ke nahin milte hain
kohna sarae ki raushniyon ne kah hi diya diwaT ke diyon se
aao aao Thahro Thahro mehman roz nahin milte hain
sar ka sauda panw ki gardish jo bhi sabab ho na milne ka
tum to sahab kya milte ho milte hain to hamin milte hain
Ghazal
BaiTho ji ka bojh utaren donon waqt yahin milte hain
Aziz Hamid Madni