baiThe rahenge tham ke kab tak yun KHali paimane log
had se baDhe jab tishna-labi to phunk na den maiKHane log
hum duniya ko de kar KHushiyan gham badle mein lete hain
DhunDe se bhi ab na milenge hum jaise diwane log
kya jaanen yun dil ke kitne zaKHm hare ho jate hain
chheD ke baat ek harjai ki aate hain samjhane log
ek shair diwana sa kyun nagri nagri phirta hai
aae ya na samajh mein aae gaDhte hain afsane log
dil par kitne zaKHm lage hain tab ja kar ye jaana hai
apnon se to achchhe hain har surat ye begane log
Ghazal
BaiThe rahenge tham ke kab tak yun Khaali paimane log
Syed Shakeel Desnavi