baiThe jo sham se tere dar pe sahar hui
afsos ai qamar ki na mutlaq KHabar hui
arman-e-wasl yunhi raha so gae nasib
jab aankh khul gai to yakayak sahar hui
dil aashiqon ke chhid gae tirchhi nigah se
mizhgan ki nok-e-dushman-e-jaani jigar hui
pachhtata hun ki aankh abas tum se laD gai
barchhi hamare haq mein tumhaari nazar hui
chhani kahan na KHak na paya kahin tumhein
miTTi meri KHarab abas dar-ba-dar hui
dhyan aa gaya jo sham ko us zulf ka 'rasa'
uljhan mein sari raat hamari basar hui
Ghazal
BaiThe jo sham se tere dar pe sahar hui
Bhartendu Harishchandra