اردو हिंदी
BaiThe hain sunahri kashti mein aur samne nila pani hai | Shaahi Shayari
baiThe hain sunahri kashti mein aur samne nila pani hai

Ghazal

BaiThe hain sunahri kashti mein aur samne nila pani hai

Saleem Ahmed

;

baiThe hain sunahri kashti mein aur samne nila pani hai
wo hansti aankhen puchhti hain ye kitna gahra pani hai

betab hawa ke jhonkon ki fariyaad sune to kaun sune
maujon pe taDapti kashti hai aur gunga bahra pani hai

har mauj mein giryan rahta hai girdab mein raqsan rahta hai
betab bhi hai be-KHwab bhi hai ye kaisa zinda pani hai

basti ke gharon ko kya dekhe buniyaad ki hurmat kya jaane
sailab ka shikwa kaun kare sailab to andha pani hai

is basti mein is dharti par sairabi-e-jaan ka haal na puchh
yan aankhon aankhon aansu hain aur dariya dariya pani hai

ye raaz samajh mein kab aata aankhon ki nami se samjha hun
is gard-o-ghubar ki duniya mein har chiz se sachcha pani hai